biography of abu bakr siddiq, hazrat siddique ki zindagi, administration, family in urdu, al-siddiq achievements, death islamic date, caliph why was e
Abu Bakr Siddiq Ki Zindagi Biography, Huliya Mubarak, Achievements,
Ta'aruf - Abu Bakr Siddiq
Musalmanon kay pehlay Khalifah, Ameer-ul-Mu'mineen Hazrat Abu Bakr Siddiq (Siddiq-e-Akber) ka naam Mubarak Abdullah, Kuniyat Abu Bakr aur Siddiq-o-Ateeq alqaab hayn.
Siddiq ka ma'na hay: 'Bahut ziyadah sachha.' Aap mrd Zamana-e-Jahiliyat hi mayn is laqab say mashhoor ho gaey thay .
kiyun keh hamaysha sach hi boltay thay aur Ateeq ka ma’na hay: "Aazaad' Allah Pak ki 'ata say ghayb ki khabrayn daynay walay Piyaray Piyaray Aaqa hazrat mohammad nay Aap ko khushkhabri daytay huway farmaya: Tum Dozakh ki aag say aazaad ho.' Is liye Aap ka laqab 'Ateeq' huwa.
(Tareekh-ul-Khulafa, safha 29)
Aap Quraishi hayn aur Saatveen pusht mayn Shajarah-e-Nasab Rasoolullah aalads abi kay Khandani Shajray say mil jata hay,
Aap "Aam-ul-Feel (Ya'ni jis saal na-muraad Abrahna Badshah hathiyon kay lashkar kay hamrah Ka'bah-e- Musharifah per hamla aawar huwa tha.) kay taqreeban arrha'ie saal ba'ad Makkay Shareef mayn paydah huway.
Huliya Mubarak - Abu Bakr Siddiq
Musalmanon ki Piyari Piyari Ammi Jaan Hazrat Bibi Aasihah Siddiqah Tayyibah Tahirah 'Aabidah 'Afifah say puchha gaya: 'Hazrat Abu Bakr Siddiq ka huliya (mubarak) kaysa tha?'
Farmaya: 'Aap ka rang, safayd, jism kamzoor aur rukhsar kam gosht walay thay, kamar ki janib say tahband ko mazbuti say bandha kartay thay ta keh lataknay say mahfooz rahay,
Aap kay Chehra-e-Mubarak ki ragayn wazih nazar aati theen, isi tarah hathayliyon ki pichhli ragayn bhi saaf nazar aati theen.'
(Tareekh-ul-Khulafa, safha 25)
'Ilm-e-Ta'beer - Abu Bakr Siddiq
Hazrat Siddiq-e-Akber ki 'ilm-e-ta'beer mayn maharat ka raaz ye tha keh Aap nay ye 'ilm bara-e-rast Bargah- e-Risalat sallallaho alaywasallam say paya.
Nabi-e-Kareem sallallaho alaywasallam nay irshad farmaya: Mujhay khuwabon ki ta'beer batanay ka hukm diya gaya hay aur ye keh Mayn ye 'ilm 'Abu Bakr' ko sikha'on.
(Tareekh-e-lbn-e-Asakir, Hadees 6325)
Khususiyaat - Abu Bakr Siddiq
Abu bakr al-siddiq Achievements
1. Aap nay Huzoor sallallaho alay wassalam ki zahiri Mubarak zindagi mayn 17 Namazayn parha'ie.
2. Aap hi nay sab say pehlay Quran-e-Kareem ko jama' farmaya.
(Umdat-ul-Qaari, jild 13, safha 534)
3. Aap sab say pehlay Huzoor kay sath Namaz parhnay walay hayn.
(Tareekh-ul-Khulafa, safha 25)
4. Ahl-e-Sunnat ka is per ittifaq hay keh Ambiya-o- Mursaleen kay ba'ad tamam insaanon, jinnon aur firishton say Aap afzal hayn.
5. Aap nay apni Mubarak zindagi kay 47 saal Huzoor kay sath guzaray.
(Fatawa-e-Razawiyyah, jild 28, safhia 457, tahseelan, mulakhasan, multaqatan)
6. Aap woh khush naseeb hayn keh khud Sahabi, Walid Sahabi, baytay, Baytiyan, Potay aur Nawasay Sahabi
(Tareekh Ibn-e-'Asakir, vol 30, safha 19) Aap kay 'ilawah ye I'zaaz kisi ko hasil nahin huwa.
7. Aap nay sab say pehlay Masjid-ul-Haraam Shareef mayn khutbah diya.
(Tareekh Ibn-e-Asakir, Raqm 3398)
8. Aap kapray ka karobar kiya kartay thay.
(Lam'aat- ul-Tangeeh, vol. 6, safha 500)
14 Farameen-e-Mustafa - Abu Bakr Siddiq
1. Jisay Dozakh say aazaad shakhs ko daykha hay woh 'Abu Bakr Siddiq' ko daykh lay.
(Mu'jam e-Awsat, jild 6, safha 456, Hadees 9384)
2. Abu Bakr ki mahabbat aur In ka shukr Mayri tamam Ummat per wajib hay.
(Tareekh-e-Khulafa, safha 44)
3. Abu Bakr! Mayri Ummat mayn sab say pehlay Jannat mayn dakhil honay walay shakhs tum hi ho gey.
(Abu 3. Dawiod, jild 4, safha 280, Hadees 4652)
4. (Ay Abu Bakr!) Tum aag say Allah Pak kay aazaad kiye huway ho.
(Tirmizi, Hadees 3699)
5. "Ay Abul Hasan (Ya'ni Hazrat Ali ko mukhatib ker kay farmaya:) Mayray nazdeek Abu Bakr ka wohi maqaam hay jo Allah Pak kay han Mayra maqaam hay.
(Ar-Riyad-un-Nadarah, jild. 1, safha l185)
6. Allah Pak nay kuch Jannati Hooron ko phoolon say payda farmaya hay aur Unhayn gulabi Hoorayn kaha jata hay, Un say sirf Nabi ya Siddiq Ya Shaheed hi nikah ker saktay hayn aur Abu Bakr ko aysi 400 Hoorayn 'ata ki ja'ayn gi.
(Ar-Riyad-un-Nadarah, jild 1, safha 184)
7. Mujhay aasmaanon ki sayr kara'ie gaie pas Mayra jis aasmaan say guzar huwa mayn nay wahan Apna naam likha huwa paya aur apnay ba'ad Abu Bakr ka naam bhi likha huwa paya.'
(Majma'-uz Zawaid, jild 9, safha 19, Hadees 14296)
8. Mujh per jis kisi ka Ihsaan tha mayn nay us ka badla chukka diya hay, Magar Abu Bakr kay Mujh per woh Ihsanaat hayn jin ka badla Allah Pak baroz-e-Qiyamat unhayn 'ata farmaey ga.
(Tirmizi, jild S, safha 374, Hadees 3681)
9. 'Abu Bakr Dunya-o-Aakhirat mayn Mayra bhai hay, Allah Pak is per raham farmaey aur Allah kay Rasool ki taraf say isay behtar jaza day keh is nay apni Jaan-o-Maal say mayri madad ki hay.'
(Ar-Riyad-un-Nadarah, jild 1, safha 131)
10. Abu Bakr per kisi ko fazilat mat do keh woh Dunya-o- Aakhirat mayn tum sab (Sahabah) say afzal hay."
(Ar-Riyad- un-Nadarah, jild 1, safha 137)
11. Mayri Ummat kay liye sab say ziyadah maharban Abu Bakr Siddiq hayn.
(Tirmizi, Hadees 3815, multaqutan)
12. Ay Abu Bakr! Allah Pak Roz-e-Qiyamat makhlooq per 'aam tajalli farmaey ga aur tum per khaas tajalli farmaey ga.
(Lisaan-ul-Meezaan, jild 2, safha 114, Ragm 1783)
Shan E Siddique E Akbar Martaba Abu Bakr Siddiq In Roman Hindi
Iman afroz khuwab Islam ka suraj tulu' honay say pehlay zamana-e-jahiliyyat kay daur mayn ayk nayk seerat Tajir (Ya'ni business man) Mulk-e- Shaam tijarat (Ya'ni business) kay liye gaya,
wahan us nay ayk khuwab daykha, ko "Bahayra" naami Rahib ko sunaya. Us Rahib nay puchha: Tum kahan say aaey ho?
Us Tajir nay jawab diya: 'Makkay say.'
Us say phir puchha: 'Kon say Qabilay say ta'lluq rakhtay ho?'
Tajir nay bataya: "Quraish say.'
Puchha: "Kiya kartay ho?
Kaha: "Tijarat (Ya'ni Business man) hon'
Woh Rahib kahnay laga: 'Agar Allah Pak nay tumharay khuwab ko sacha farma diya tu woh tumhari qaum mayn hi ayk Nabi mab'oos farmaey ga (Ya'ni bhayjay ga), un ki zindagi mayn tum un kay wazeer ho gey aur Wisaal Shareef (Death) kay ba'ad un kay Janasheen ho gey.'
Us nayk seerat Tajir nay apna ye khuwab aur is ki ta'beer kisi ko na bata'ie Jab Islam ka Suraj tulu' huwa, Allah Kareem kay Aakhiri Rasool,
Rasool-e- Maqbool, Gulshan-e-Risalat kay mahaktay Phool nay I'laan-e-Nubuwwat farmaya tu Is Tajir ko Mulk-e-Shaam mayn daykhay janay walay us kay khuwab.
aur us ki ta'beer ka waqi'a bator-e-daleel khud hi irshad farma diya jisay suntay hi woh Nayk Seerat Tajir Huzoor kay galay lag gaya
aur Payshani Mubarak chumtay huway kaha: Mayn gawahi dayta hon keh Allah kay siwa koi 'ibadat kay la'iq nahin aur mayn is baat ki gawahi dayta hon keh Aap Allah kay sachay Rasool hayn.
Us Nayk Seerat Tajir ka kahna hay: 'Us din mayray Islam lanay per Makkah-e-Pak mayn Nabi-e-Kareem tosalliade si Je say ziyadah koi khush na tha.'
(Ar-Riyaz-un-Nadarah, jild 1, safha 83)
Kiya Aap jantay hayn keh ye nayk Seerat Tajir kon thay?
Ye musalmanon kay pehlay Khalifah, Sab say baray Muttaqi, (Ya'ni Perhayzgar) Jannati Ibn-e-Jannati, Sahabi Ibn-e-Sahabi Yar-e-Ghaar-o- Yar-e-Mazaar Hazrat Abu Bakr Siddiq thay.
ये भी देखे :