Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi

SHARE:

Azan ki Barkatain - Azan Islam me Wo Mukaddas Ibadat Hain Jiska Agaz Namaz Jaysi Farz Chij Ke Liye KIya Jata Hain. Or Ye Wo Namaz Hain Jo Ek Momin KI

Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi



Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi
azan-ki-barkatain


Azan ki Barkatain - Azan Islam me Wo Mukaddas Ibadat Hain Jiska Agaz Namaz Jaysi Farz Chij Ke Liye KIya Jata Hain. Or Ye Wo Namaz Hain Jo Ek Momin KI Meraj Hain. Ya U Kahlijiye KI Azan ek Dawat Hain.

Ishi Momine KI Dawat Jo KI Allah Ke Taraf se Hoti Hain AAj Azan ki Barkatain Or Rahate Ke Baare Me Is Post Me Batane Jaa Rahe Hain. 

    Azan ki Barkatain Quran Hadees Se

    Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Bayshak Allah pak zalim ko mohlat dayta hay yahan tak kay jab us ko Apni pakar may layta hay to phir us ko nahin chorta. Yeh farma kar Sarkar-e-Namdar Sallallahu Alaihi Wasallam nay parah 12 soorah Hood ki aayat 102 tilawat farmai: 

    Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi
    Azan ki Barkatain

    Tarjamah-e-Kanz-ul-Iman: Aur aysi hi pakar hay Tayray Rab ki, jab bastiyon ko pakarta hay un kay zulm par bayshak Us ki pakar dardnak karri (sakht) hay. 


    Piyaray Islami bhaiyo!  Is waqi'ay say jahan zalim kay zulm kay ibratnak anjam ka pata chala wohin 'Azaan' ki barakat say na sirf zulm ka bhi khatimah huwa balkay Azaan ki barakat say aik 'aam say shakhs ki Badshah-e-Waqt tak na sirf rasai ho gaey balkay itna bara ikhtiyar mil gaya kay woh mulk say jaraim ko khatam kar dey. 


    Sab say pehli Azaan kis nay di? 

    Azaan ka lughwi ma'na hay: Khabardar karna. Kiya aap jantay hay kay sab say pehli 'Azan' kis nay di? Chalye Mayn batata hon, Hazrat Jibrail Ameen  nay Mai'raj ki raat Bait-ul- Muqaddas may (sab say pehli Azaan) di, jab Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam nay saray Nabiyon ko namaz parhai, magar Musalmanon may hijrat kay ba'd pehli Hijri may shuru' huyi. 

    (Mirat, jild 1. Safhah. 399)


    Sarkar nay aik bar Azaan di 

    {Azan ki Barkatain}

    Nabi-e-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam nay safar may aik bar Azaan di thi aur kalima-e-shahdat yun kahay: ashhadu anni rasulallah  'Mayn gawahi dayta hon key Mayn Allah ka Rasool hon'. 

    (Fatawa Razwiyyah, jild. 5, Safhah. 375) 


    Minarah par sab say pehlay Azaan denay wala 

    Shahar kay minarah par charh kar Azaan kehnay walay sab say pehlay Hazrat Shurahbeel Bin 'Amir Muradi  thay. (Al-Hadiqat-un-Nadiyyah, jild. 1, Safhah. 135) 


    Ghabrahat may Azaan 

    Riwayat may hay: jub Aadam AS Hindustan may utray unhayn ghabrahat huyi to Jibrail AS nay utar kar Azaan di. 

    (Hilyat-ul-Awliya, jild. 5, Sufhah. 123, Hadees 6566) 

    Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi
    azan-ki-barkatain

    Zikr-e-Illahi nuzool-e-rahmat ka bai's hay 

    Meray Aaqa A'la Hazrat, Imam Ahl-e-Sunnat Imam Ahmed Raza Khan , farmatay hain: Azan Zikr-e-llahi hai aur Zikr-e-Ilahi bai's-e-nuzool-e-rahmat hay. (Fatawa Razawiyyah, jild. 5, Safhah. 370)


    Yaqeenan jab Allah Pak ki rahmat nazil hogi to balaeyn, aafatayn, museebateyn, beemariyan, parayshaniyan door hon gi. Chunan-chay Hadees-e-Pak may hay: Allah Pak kay Aakhiri Nabi, Makki Madani, Muhammad- e-'Arabi Sallallahu Alaihi Wasallam nay Hazrat 'Ali s say irshad farmaya: Aey 'Ali! Mayn tujhay ghamgeen paata hon apnay kisi ghar walay say keh kay tayray kaan may Azaan kahay, Azan gham-o-parayshani dor karti hay. 

    (Jami'-ul-Hadees, jild. 15, Safhah. 339, Hadees 6017) 

    Yeh Riwayat naqal karnay kay ba'd A'la Hazrat , Fatawa Razawiyyah shareef jild 4 Safhah. 688 par farmatay hain Maula "Ali  aur Maula 'Ali tak jis qadar is Hadees ki rawi (ya'ni riwayat naqal karnay walay) hain sab nay farmaya (Hum nay isay tajribah kiya to hum nay aysa hi paaya). 


    Kiya Azaan namaz kay sath khas hay 

    {Azan ki Barkatain}

    Ba'z log yeh samajhtay hain kay Azaan sirf namaz hi kay liye di ja sakti hay is kay 'ilawah kisi aur mauqa' par nahin di ja sakti, yeh baat durust nahin, abhi jo riwayat bayan huyi kay Hazrat Aadam Jannat say zameen par tashreef laye to un ki ghabrahat-o-bay chayni ko door karnay kay liye Hazrat Jibrail  nay jo Azaan di Woh kisi namaz kay liye nahin thi yun hi Allah Pak kay Aakihri Nabi, Makki Madani, Muhammad-e- "Arabi Sallallahu Alaihi Wasallam jo Maula 'Ali mushkil Kusha Au ai ko ghum zadah daykh kar farmaya key apnay kisi ghar walay say keh kar teray kaan may Azaan dey yeh Azaan bhi kisi namaz kay liye nahin thi. Naiz kutb-e-Shafi'iyyah' may namaz kay ilawah mutlaqan mawaqa' par Azan kehna Sunnat hay. 

    (Tofhat-ul-Muthaj Li-ibn-e-Hajar Haytumi, jild 1, Safhah. 165) 


    Namaz kay ilawah Azaan kay chand mawaqa' 

    Azan ki asal waza' (ijad) to namaz kay liye hi thi phir dusray mawaqa' par bhi isti'mal huyi. Yaad rahay Islam nay kai mawaqa' par Azaan dayna Mustahsan (ya'ni pasand farmaya) hay un may say chand yeh hain: 


    1. Bachay kay payda honay par daeyn kaan par Azaan aur bayen may iqamat masnoon huyi. 

    2. Jahan Jinnat ka asar ho wahan bhi Azaan di jati hay. 

    3. Jab sawari ka janwar sarkashi karay, 

    4-7. Bad mizaj aadami ya janwar kay kaan may, gham zadah, mirgi kay mareez aur ghussay walay shakhs kay kaan may. 

    8. Aatishzadgi kay waqt 9. Rastah bhatak Janay ki soorat may. 

    10. Waba (ya'ni beemari) kay zamanay may. 

    11. Dafan-e-mayyit kay ba'd. 

    (Nuzhat-ul-Qauri, Jild. 2. Safhah. 296, Bahar e-Shari'at jlid. 1. Safhah 466) 



    Azaan kay chand shari' masail 

    1. Azaan-e-namaz kay 'ilawah aur Azaanon ka bhi jawab diya jaye ga. 

    2. 

    Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi
    Azan ki Barkatain

    dahini taraf munh kar kay kahay aur
     
    Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi
    Azan ki Barkatain

    bayen janib, agarchay namaz kay liye na ho balkay masalan bachay kay kaan may ya aur kisi liye kahi yeh phayrna faqat munh ka hay, saray badan say na phiray. 


    3. Azaan kay kalimat thehar thehar kar kahay, i aií i abí donon mil kar aik kalimah hain, donon kay ba'd saktah karay (ya’ni thehray) darimiyan may nahin aur Saktah ki miqdar yeh hay kay jawab daynay wala, jawab day lay aur Saktah ka tark Makruh hay aur aysi Azaan ka I'adah Mustahab hay. 

    (Bahar-e-Shari'at, jild. 1, Safhah. 469)



    Pareshani say najat kay liye Azan dayna Sunnat hay 

    Hazrat 'Allamah 'Ali Qari  farmatay hain: Museebat-o- Parayshani say chhutkaray kay liye Azaan dayna Sunnat hay. 
    (Mirqat, jild. 2, Safhah. 330)
     
    Coronavirus kay phaylnay kay waqt is museebat-o-parayshani kay 'aalam may bhi khoob Azaanayn dijiye, kiya ba'eed! Is Zikr-e-llahi kay sabab aysay Rahmat-e-Ilahi barsay, aysi Rahmat-e-Ilahi barsay, aysi Rahmat-e-Ilahi barsay key sirf Coronavirus hi nahin balkay Corona apnay sath kaey aur beemariyon ko ley kar hum say dor ho jaye. 

    Meray Aaqa A'la Hazrat l abiá, say Fatawa Razawiyyah jild 23 may aik suwal howa, Mayn Woh suwal-o-jawab aasar may bayan karta hon. 


    Suwal: 'Ulama-e-Deen is masalay kay baray may kiya farmatay hain key log beemari-o-balaon kay phaylnay kay waqt aur aandhi-o-shadeed toofan wagerah kay waqt Azaan kehtay hain, yeh kaam shar'an jaiz hay ya nahin? 

    Jawab: Jaiz hai aur jaiz honay kay liye Hadees-e-Pak may hay: Zikr-e-Ilahi say ziyadah koi shay Allah Pak kay 'azab say churanay wali nahin. Phir jab tum 'azab daykho to us halat may Allah Pak kay zikr kay zari'ay panah hasil karo. 

    Aur Quran Kareem may irshad hota hay: 

    Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi
    Azan ki Barkatain


    Tarjamah-e-Kanz-ul-Iman: Sun lo Allah ki yaad hi may dilon ka chain hay. 
    (Fatawa-e-Razawiyyah, jild. 23, Safhah. 174)



    Khuda-e-Pak ko razi kar lijye 

    {Azan ki Barkatain}

    Aik taraf Coronavirus ka khauf, Dusri taraf lockdown ki aafat, ghareeb ho ya ameer taqreeban sabhi pareeshani say do char ho kar ghabrahat-o-tashweesh may hain kay na janay aagay kiya hoga, Allah Pak hum sab par apna khusoosi fazl-o-karam farmaye, is aafat-o-parayshani kay waqt may Zikr-e-llahi kar kay Azanayn dey kar, Salat-o-Salam parh kar, khoob dil say du'aen maang kar apnay Rabb-e-Raheem-o- Kareem ko razi karnay ki koshish karayn. 

    Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi
    azan-ki-barkatain

    Azan ki barakat say sailab door ho gaya (Hikayat) 

    Hazrat 'Allamah Abdul Rauf Manawai  Imam Fakhruddin kay hawalay say likhtay hain: Aik martabah Baghdad may sailab aa gaya, qareeb tha kay gharq ho jata. Isi dooran ba'z nayk bandon nay khuwab may daykha kay woh darya-e-dijlah kay kanaray kharay hain aur keh rahay hain Baghdad gharq ho gaya.' 
    Usi waqt 2 shakhs aaye, aik nay dusray say poocha: Tujhay kis cheez ka hukm huwa hay? Kaha: Mujhay Baghdad ko gharq karnay ka hukm huwa tha magar phir mujhay mana' kar diya gaya. Pocha: Kiyun?
    Kaha: raat kay firishton nay Allah Pak ki bargah may 'arz kiya kay aaj raat Baghdad may na-haq 700 'auraton ki 'izzat par haath dala gaya hay, jis par Allah Pak nay ghazab farmaya aur mujhay Baghdad ko gharq karnay ka hukm diya laykin phir subh kay firishton nay 'arz kiya kay aaj subh Baghdad may 700 Azaan-o-iqamat huyi hain. Allah Pak nay is barakat say mua'afi 'ata farma di (ya'ni ijtimai' 'azab nahin diya gaya). Phir aankh khuli to pani utar chuka tha. 
    (Faiz-ul-Qadeer, jild, 1. Safhah. 327) 


    Riwayat may hay: Jis basti may Azan di jaye, Allah Pak apnay 'azab say us din usay aman dayta hay. 
    (Mu'jam-e-Kaheer, jild 1, Safhah 257, Hatees 746) 


    Hazrat 'Allamah Abdul Rauf Manawi -dei is Hadees pak ki sharh may atay hain: Na upar (ya'ni aasman) say aayen gi na neechay (ya'ni zameen) say, na un par dushman hawi hoga. Naiz Khasaf (ya'ni zameen may dhansnay) aur masakh (ya'ni shaklon kay badal janay) aur patthar barsanay wagerah ('azabat) say bhi mehfooz hon gay. 
    (Faiz-ut-Qaiteer. jild. 1. Sufitah. 326) 



    Hazrat Mufti Ahmed Yar Khan  nay Azaan kay mawaqa' ko 'Arabi sha'r may yun bayan farmaya hay jis ko zubani yaad kar laynay say Azaan kay yeh mawaqa' yaad rakhna aasan ho sakta hay. 


    Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi
    Azan ki Barkatain


    Farz namaz kay liye, bachay kay kan may, aag lagnay kay waqt, sakht jang ho, musafir kay Janay kay ba'ad, Jinnaat kay zahir honay par, ghussay walay par, rastah bhool Janay walay kay liye aur mirghi walay kay liye. (Ja al-haq, Safhah. 252) 

    To Azan ki Barkatain Par Malumat AAp Ko Kaysi Lgi. IShe Share Kare Isale Sawab ki niyat se taki jada se jada logo tak azan ki barkatain pahuche.

    multi

    Name

    1_muharram_date_2021_india_pakistan_saudi_arab_USA,1,10_Muharram_Ka_Roza,1,15-August,3,Abu_Bakr_Siddiq,2,Ahle_bait,6,Al_Hajj,4,ala_hazrat,5,Allah,1,Aqiqah,1,Arka_Plan_Resim,1,Ashura_Ki_Namaz_Ka_Tarika,1,assalamu_alaykum,1,Astaghfar,1,Aulia,7,Aurton_KI_Eid_Ki_Namaz_Ka_Tarika_In_Hindi,1,ayatul-Kursi,1,Azan,2,Baba_Tajuddin,4,Bakra_Eid_Ki_Namaz_Ka_Tarika_in_Hindi,1,Bismillah_Sharif,3,Chota_Darood_Sharif,1,Dajjal,2,Darood_Sharif,5,Darood_Sharif_In_Hindi,2,Date_Palm,1,Dua,24,Dua_E_Masura,1,Dua_E_Nisf,1,Dua_For_Parents_In_Hindi,1,Dua_iftar,1,Dua_Mangne_Ka_Tarika_Hindi_Mai,1,Duniya,1,Eid_Milad_Un_Nabi,8,Eid_UL_Adha,1,Eid_UL_Adha_Ki_Namaz_Ka_Tarika,2,Eid_UL_Fitr,1,English,5,Fatiha Ka Tarika,2,Fatima_Sughra,1,Gaus_E_Azam,6,Good_Morning,1,Google_Pay_Kaise_Chalu_Kare,1,Gunahon_Ki_Bakhshish_Ki_Dua,1,Gusal_karne_ka_tarika,1,Haji,1,Hajj,10,Hajj_And_Umrah,1,Hajj_ka_Tarika,1,Hajj_Mubarak_Wishes,1,Hajj_Umrah,1,Hajj_Umrah_Ki_Niyat_ki_Dua,1,Happy-Birthday,4,Hazarat,3,Hazrat_ali,3,Hazrat_E_Sakina_Ka_Ghoda,1,Hazrat_Imam_Hasan,1,Health,1,Hindi_Blog,7,History_of_Israil,1,Humbistari,1,Iftar,1,iftar_ki_dua_In_hindi,1,Image_Drole,1,Images,53,Imam_Bukhari,1,imam_e_azam_abu_hanifa,1,Imam_Hussain,1,Imam_Jafar_Sadiqu,3,IPL,1,Isale_Sawab,3,Islahi_Malumat,41,islamic_calendar_2020,1,Islamic_Urdu_Hindi_Calendar_2022,1,Isra_Wal_Miraj,1,Israel,1,Israel_Palestine_Conflict,1,Jahannam,2,Jakat,1,Jaruri_Malumat,30,Jibril,1,jumma,8,Kaise_Kare,5,Kaise-kare,2,Kajur,1,Kalma,3,Kalma_e_Tauheed_In_Hindi,1,Kalme_In_Hindi,1,Karbala,1,khajur_in_hindi,1,Khwaja_Garib_Nawaz,21,Kujur,1,Kunde,2,Kya_Hai,3,Laylatul-Qadr,6,Loktantra_Kya_Hai_In_Hindi,1,Love_Kya_Hai,1,Lyrics,11,Meesho_Se_Order_Kaise_Kare,1,Meesho-Me-Return-Kaise-Kare,1,Mehar,1,Milad,1,Mitti_Dene_Ki_Dua_IN_Hindi,1,muharram,22,Muharram_Ki_Fatiha_Ka_Tarika,1,Muharram_Me_Kya_Jaiz_Hai,1,musafa,1,Namaz,10,Namaz_Ka_Sunnati_Tarika_In_Hindi,1,Namaz_Ka_Tarika_In_Hindi,10,Namaz_ke_Baad_ki_Dua_Hindi,1,Namaz_Ki_Niyat_Ka_Tarika_In_Hindi,2,Nazar_Ki_Dua,2,Nikah,2,Niyat,2,Online_Class_Kaise_Join_Kare,1,Palestine,3,Palestine_Capital,1,Palestine_currency,1,Parda,1,Paryavaran_Kya_Hai_In_Hindi,1,photos,15,PM_Kisan_Registration,2,Qawwali,1,Qubani,1,Quotes,3,Quran,4,Qurbani,4,Qurbani_Karne_Ki_Dua,1,Rabi_UL_Awwal,2,Rajab,7,Rajab_Month,3,Rajdhani,2,Ramzan,18,Ramzan_Ki_Aathvi_8th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Athais_28_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Atharavi_18_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Baisvi_22_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Barvi_12th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Bisvi_20_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Chabbisvi_26_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Chatvi_6th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Chaubis_24_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Chaudhvin_14th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Chauthi_4th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Dasvi_10th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Dusri_Mubarak_Ho,1,Ramzan_ki_Fazilat_In_Hindi,1,Ramzan_Ki_Gyarvi_11th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Ikkisvi_21_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_navi_9th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Pachisvi_25_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Panchvi_5th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Pandravi_15th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Pehli_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Sataisvi_27_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Satravi_17_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Satvi_7th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Sehri_Mubarak_Ho,29,Ramzan_Ki_Teesri_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Tehrvi_13th_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Teisvi_23_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Tisvi_30_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Unnatis_29_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Ki_Unnisvi_19_Sehri_Mubarak_Ho_Images,1,Ramzan_Mubarak_Ho,1,Ramzan-Ki-Dusri-2nd-Sehri-Mubarak-Ho-Images,1,Ramzan-Ki-Sehri-Ki-Dua,1,Ramzan-Ki-Solvi-16-Sehri-Mubarak-Ho-Images,1,Roman_English,1,Roza,11,Roza_Ki_Dua,1,Roza_Rakhne_Ki_Niyat,3,Roza_Tut_Jata_Hain,1,Roza_Tutne_Wali_Cheezain,1,Roze_ki_Fazilat_in_Hindi,1,sabr,1,Sadaqah,1,sadka,1,Safar_Ki_Dua,2,Safar_Me_Roza,1,Sahaba,2,Shab_E_Barat,7,Shab_e_Meraj,9,shab_e_meraj_namaz,2,Shab_E_Qadr,9,Shaban_Ki_Fazilat_In_Hindi,1,Shaban_Month,3,Shadi,2,Shaitan_Se_Bachne_Ki_Dua_In_Hindi,1,Shayari,22,Shirk_O_Bidat,1,Sone_Ki_Dua,1,Status,4,Surah_Rahman,1,Surah_Yasin_Sharif,1,surah-Qadr,1,Taraweeh,3,Tijarat,1,Umrah,2,Valentines_Day,1,Wahabi,1,Wazu,1,Wazu Ka Tarika,1,Wishes-in-Hindi,6,Youm_E_Ashura,3,Youm_E_Ashura_Ki_Namaz,1,Youme_Ashura_Ki_Dua_In_Hindi,1,Zakat,1,Zakat_Sadka_Khairat,1,Zina,1,Zul_Hijah,5,جمعة مباركة,1,पर्यावरण_क्या_है,1,प्यार_कैसे_करें,1,मुहर्रम_की_फातिहा_का_तरीका_आसान,1,मुहर्रम_क्यों_मनाया_जाता_है_हिंदी_में,1,
    ltr
    item
    Irfani - Info For All: Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi
    Full Azaan Or Azan ki Barkatain In Hindi
    Azan ki Barkatain - Azan Islam me Wo Mukaddas Ibadat Hain Jiska Agaz Namaz Jaysi Farz Chij Ke Liye KIya Jata Hain. Or Ye Wo Namaz Hain Jo Ek Momin KI
    https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjva2E592kE5DMxeDkrHOA3LCBFTvVGq9-eRSykiEEpCl0ceMY2QAirGWt2H38h-l9nv_wPtfA_2W8qClB07N2dcxSudpzfqQqqo9iA5SW146O15eyy-Cg8evJqzvLV8of9GvrCZRK9TEJN/s16000/azan+ki+barkatain.jpg
    https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjva2E592kE5DMxeDkrHOA3LCBFTvVGq9-eRSykiEEpCl0ceMY2QAirGWt2H38h-l9nv_wPtfA_2W8qClB07N2dcxSudpzfqQqqo9iA5SW146O15eyy-Cg8evJqzvLV8of9GvrCZRK9TEJN/s72-c/azan+ki+barkatain.jpg
    Irfani - Info For All
    https://www.irfani-islam.in/2021/02/azan-ki-barkatain.html
    https://www.irfani-islam.in/
    https://www.irfani-islam.in/
    https://www.irfani-islam.in/2021/02/azan-ki-barkatain.html
    true
    7196306087506936975
    UTF-8
    Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS PREMIUM CONTENT IS LOCKED STEP 1: Share to a social network STEP 2: Click the link on your social network Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy