Shirk Meaning In Hindi What Is Shirk In Islam, Shirk Wa Biddat Kya Hain, Shirk Ki Haqqiqat, Shirk o Bidat Kya Hain?, islam me shirk ka matlab
Shirk Meaning In Hindi What Is Shirk In Islam

shirk-meaning-in-hindi.
Shirk Wa Biddat Kya Hain, Shirk Ki Haqqiqat, Shirk o Bidat Kya Hain?
"Shirk Thhahry Jisme Tazim E Habib, Us Bure Mazhab Pey Lannat Kijiye."
Shirk Wa Biddat Me Jo Point Cover Kiye Gaye Hai Wo Yeh Hai / Shirk Meaning In Hindi In Islam
1. Tauheed Wa Shirk Meaning In Hindi
2. Tauheed Ki Haqiqat
3. Shirk Ki Tarif
4. Shirk Ki Aqasaam
5. Bidaat Ki Tarrif
6. Hadees Se Biddat Ka Sabut
7. Biddat Ki Aqasaam
8. Biddat E Shya Ki Taqseem
- Tauheed Wa Shirk Meaning In Hindi
Nihayat Afsos Ki Baat Hai Ke Jis Aqeeda E Tauheed Par Ummmat E Musalimah Ko Muztama Kiya Gya Tha Aaj Usi Ummat K Andar Jahalat Aramwaqfiyat Hone Ki Wajh Se Baaz Logo Ne Ish Pakiza Aqeeda Tauheed Ke Andar Apni Khud Sakhat.
Aur Man Pasand Tahrifat Aur Mabha's ljaad Karke Uski Haqiqi Surat Ko Maskh Kar Dia Aur Ummat Me Esa Intsaar Paida Kar Dia Ke Ummat E Muhammadiya 2 Esey Giroh Me Mungshim Ho Gyi K Ek Dusri Ki Khun Ki Pyasi Ban Gyi.
Islam Ne Jis Buniyat Yani LA ILLAH ILLAH Par Ummat E Muslimah Ko Mut'heed Kiya Gya Tha, Aaj Wahi Buniyad Fitna Wa Fasad Ki Saqal Me Aap Ke Samne Hai.
Aaj Tauheed Ka Barayi Namdai Musalmano Ko Mushrik Kahne Me Zara Barbar Bi Aar Mahsus Nhi Karte. Aur Ummat E Muhammdiyah Ka Siraja Bikhairne Me Koi Moqa Hath Se Jane Nahi Dete,
Kitne Afsos Ki Baat Hai K Pura Kufr Deen E Islam Mutheed Ho Chukka Hai Lekin Yeh Log Ummat Par Shirk Wa Biddat Ke Fatve Laga Kar Kuffar Ke Naapak Ajaa'm Ko Taqwiyat De Kar Deen E Islam Ki Zado Ko Khokhla Kar Rahe Hai.
Ish Surat Hal Ko Madh E Nazar Rakh Kar Fakir Ne Ish Mauju Par Qalam Uthaya Take Hamare Musalman Bhai Tauheed Wa Shirk Ki Haqiqi Surat Ko Pehchane
Aur Haqiqi Hal Se Aagai Hasil Kar Ke Jaan Sake K Shirk Kya Hai. Aur Islam Ke Nazdik Shirk Ka Haqiqi Mahfum Kya Hai.
Kyon Ke Shirk Ek Esa Jahar Haal Hal Hai Jo Insan Ke Barbaadi Imaan Aur Aa'maal Ko Batil Karne Ka Sabab Banta Hai, Yeh Esa Mauju Hai Ke Jis Par Hamari Dunia Wa Akhirat Ki Bahtari Ka Daromadaar Hai Aur Ish Par Adam Wa Aqfiyat Bina Par Ho Sakta Hai K Kahi Ish Ghalazat Se Hamara Daman Aaluda Ho Chukaa Ho Hamari Dunia Wa Akhirat Ki Barbaadi Ka Samaan Rakha Ho Lehaza Lehaza Ish Ke Bare Me Maalumaat Hasil Karna Har Musalmaan Par Behad Lazim Wa Zaroori Hai.
Lehaza Sab Se Pehle Tauheed Wa Shirk Ki Tarif Ki Jati Hai.
- Tauheed KI Taa'rif :
Hazrat Alama Mualana Sayid Ahmad Sahid Qazmi Rahamtullah Ta'ala Allay Tauheed Ki Tariff Me Likhte Hai :
ALLAH Ta'ala Ki Zaat Wa Sifaat Me Kisi Ko Sharik Hone Se Paak Manana Yani Jis Tarah ALLAH Ta'ala Hai Waisa Kisi Ko Khuda Na Maanana Ilm Wa Amaarat Wa Basaarat
- Shirk Ki Taa'rif Ki Meaning in Hindi
Allama Taftaazani Rahimahullahu Ta'ala Shirk Ki Tariff Ish Tarah Likhtey Hai.
Tarjumah : Shirk Yeh Hai Ek ALLAH Ta'ala Ke Elava Kisi Ko Wajeeb Ul Wajud Manana Jaisa Ke Majusiyon Ka Aqeeda Hai. Ya ALLAH Ta'ala Ke Elava Kisi Dusre Ko Laik E Ibaadat Janana Jiasa Ke Bhutparsto Ka Aqeeda Hai.
- Wajeeb UI Wajud
Esi Zaat Jo Apne Maujud Hone Me Kisi Dusre Ki Mohtaaj Na Hai, Aur Na Hi Uski Koi Ibtidah Ho, Na Inteha Ho.
Jaise ALLAH Ta'ala Ki Zaat Ab Agar Kisi Ne Yeh Aqeedah Rakha Ke Jaise ALLAH Tabarak Wa Ta'ala Ki Zaat Wajeeb UI Wajud Hai.
Isi Tarah Dusra Bhi Koi Wajub UI Wajud Hai. Masalan Kisi Nabi Ya Faristey Wagaira Ke Bare Me Yeh Ageeda Rakhta Hai Key Yeh Bhi Wajub Ul Wajud Hai, Esa Saqs Beshaq Mushrik Hai.
Alhumdullilah Ahle Sunnat Wal Jammat Me Koi Shaqs Esa Nahi Jo Yeh Ageedah Rakhta Ho RasoolALLAH Ya Wali ALLAH Ta'ala Ki Tarah Wajeeb Ul Wajud Hai.
Yah Jaise ALLAH Ta'aa Ki Koi Ibtada Ya Inteha Nhi Esa Kisi Nabi Ya Wali Ki Ibtada Ya Inteha Nahi. Esa Aqeedah Koi Bhi Nahi Rakhta.
- Shirk Ki Aqsaam
Shirk Ki Do Kismey Hai : 1. Shirk Fil Zaat , 2. Shirk Fil Shifaat
- Shirk Fil Zaat
Yani ALLAH Ta'ala Ki Zaat Me Kisi Gair Ko Sharik Thhehraana Matalab Yeh ALLAH Ta'ala Ki Zaat Jaisa Kisi Dusre Ko Samjana.
ALLAH Ta'ala Ki Zaat Baabarkat Wajeeb Ul Wajud Hai Lehaza Kisi Dusre Ko Wajeeb UI Wajud Maanana Shirk Fil Zaat Kahlaata Hai.
- Shirk Fil Shifaat Meaning In Hindi
ALLAH Ta'ala Ki Shifaat Alaiya Me Kisi Gair Ko Sharik Thheraana Yani Jis Tarah ALLAH Ta'ala Jaisi Shifaat Aaliyah Ke Sath Mutasaf Hai. Esi Shifaat Kisi Dusre Ke Liye Sabit Karna Shirk Fil Shifaat Hai.
- Sawal :
Sami Wa Bashir Shifaat ALLAH Ta'ala Ki Shifaat Hai, Agar Yeh Shifaat Kisi Dusre K Liye Sabit Ki Jaye Toh Kya Yeh Shirk Hai ?
Javab : ALLAH Ta'ala Bhi Sami Wa Bashir Hai Aur Insaan Bhi Sami Wa Bashir Hai. Jaisa K Quraan E Majeed Me Irshaad E Bari Ta'ala Hai.
Tarjuma : Beshaq ALLAH Ta'ala Sunta Aur Dekhta Hai.
Ek Dusri Jagah Insaan Ki Shifaat Bayaan Fermate Hue Irshaad E Bari Ta'ala Hai :
Tarjumah : Pash Humne Insaan Ko Sunane Aur Dekhne Wala Banaya.
- Tashrih
In Ayyat E Mubarak Me ALLAH Ta'ala Ne Shami Wa Bashir Shifaat Apne Liye Bhi Bayan Farmai Aur Insaano Ke Liye Bhi Lekin ALLAH Ta'ala Aurn Insaan Ko Shifaat Me Farq Yeh Hai Key ALLAH Ta'ala Ki Shifaat Azali Wa Abadi Hai
Aur Bando Ki Yeh Shifaat ALLAH Ta'ala Ki Mohtaaz Hai Isiliye Yeh ALLAH Ta'ala Ki Ata Karda Hai. Jab Ke ALLAH Ta'ala Shifaat Apne Qabaj E Qudrat Me Hai. a
Ishi Tarah ALLAH Ta'ala Ki Shifaat Me Se Ek Shifaat Rauf O Rahim Bhi Hai. Jaise Surah Noor Me Irshaad E Rabbani Hai.
Tarjumah : Aur Beshaq ALLAH Ta'ala Rauf O Rahim Hai.
Ek Dusre Magaam Par Apne Mahboob Karim Rauf O Rahim Ke Bare Me Irshad Farmata Hai.
Tarjumah : RasoolALLAH Salluallaihaiwasallam Mominin Par Rauf O Rahim Hai.
In Dono Aayato Me ALLAH Ta'ala Ne Apne Liye Bhi Aur Apne Habib * Ke Liye Bhi Rauf O Rahim Ki Shifaat Sabit Famrai.
Lekin Inme Fark Baina Isi Tarah Hoga, Jaisa Pehle Majqur Hua, Yani ALLAH Ta'ala Ki Yeh Shifaat Jati Hai Aur Apne Qabja E Qudrat Me Hai Jab Ke Nabi Karim Ki Yeh Shifaat Atai Aur ALLAH Ta'ala Ki Hajjat Mand Hai. (Shirk Meaning In Hindi In Islam)
ALLAH Ta'ala Ki Shifaat Qadim Hai Jab K Insaan Ki Shifaat Hadis Hone Wali Hai Yani Khatam Hone Wali Hai.
- Qadim
Jiski Koi Ibtadah Na Ho Yani Yeh Nahi Kah Sakte Ke ALLAH Ta'ala Ki Shifaat Ek Saal Pehle Thi Ab Nahi Balke Iski Shifaat Hamesa Se Hai Aur Hamesa Rahegi. Ek Aur Maqaam Par Irshaad E Bari Ta'ala Hai.
Tarjumah : Beshaq ljazat Shirf ALLAH Ta'ala Ke Liye Hai.
Dusre Maqaam Apr Irshad Hai.
Tarjumah : Beshaq ljazat ALLAH Ke Liye Aur Uske Rasool Ke Liye Aur Momin Ke Liye Hai
Pehli Ayyat Me Ijazat Mein Ijazat Sirf ALLAH Ke Liye Sabit Hai Aur Dusri Me ALLAH Ta'ala Ke Rasool Aur Momin Ke Liye Sabit Hai.
In Ayyat E Mubarak Me Jo Shifaat ALLAH Ta'ala Ke Liye Bayan Hui Hai Quraan Ne Wahi Shifaat Gairullah K Liye B Sabit Ki.
AB Dil Ke Andho Se Hum Sawal Karte Hai Kya ALLAH Ka Quraan Sirk Ki Dawat De Raha Hai ? Ke Jo Shifaat ALLAH Ta'ala K Liye Bayan Hui.
Wo Shifaat Insaan Ke Liye Bhi Sabit Kia. Yaqinan Nahi Quraan Sirk Ki Dawat Nahi Deta Baaz Naam Nihad Apne Qalbi Bugz Anad Ki Wajh Se Ahle Sunnat Wal Jamaat Sirk Ke Fatve Laga Kar Apni Jahalat Ka Inqaar Karke Tafriqan Bazi Hawa Dete Hai Aur Fitna Wa Fasad Ke Abwab Khol Kar Ummat E Muhammadiyah Me Intsaar Paida Karte Hai.
Jaisa Ke Humne Pehle Arz Kiya K Chaiye Toh Yeh Tha Ke Ummat E Muslimah Ko Mujtamah Kiya Jata Aur Kuffar Ke Napaak Irado Ko Nesat Wa Nabud Karne Ke Liye Musalmano Ko Ek Platform Ektha Karke Deen E Islaam Ki Taqwiyat Ke Liye Apni Salahiyato Ko Istimaal Kiya Jata Lekin.
Afsos Ke Un Logo Ne Apni Tamaam Tar Salahiyato Ko Musalmano Ko Mushrik Sabit Karne Me Jhaunk Diya.
Gaibda Nabi Toh Hazaro Saal Pehle Irshad Farmmaya Tha
Tarjumah : Mujhe Ish Baat Ka Koi Khatra Nahi K Tum Khuda Ke Sath Kisi Ko Sharik Thhehraoge Lekin Mujhe Ish Baat Ka Khauf Hai K Tum Ek Dusre Se Hasad Karoge.
Ish Hadees E Pak Me Toh RasoolALLAH Ne Apni Ummat Me Shirk Lo Maut Par Mohar Sabt Farma Di Lekin Yeh Log Ish Galaajat Ko Zinda Karne Par Musar (Ishrar Karne Wale) Hai ALLAH Ta'ala Samj Ata Farmaye.
COMMENTS