Qurbani Kise Kahte Hain ? Or Halal Qurbani Karne Se Lekar Qurbani Khatam Hone Tak 40 Islamic Deeni Masle, Qurbani Rules Quran Hadis Ke Roshni Me
Halal Qurbani Rules Karne Ke 40 Masle Quran Hadis Se
Qurbani Kise Kahte Hain ? Or Halal Qurbani Karne Se Lekar Qurbani Khatam Hone Tak 40 Islamic Deeni Masle, Qurbani Rules Quran Hadis Ke Roshni Me
Masla 1
Zibah Karna Kisi Kahte Hain?
Gale Me Chand Rage Hai Unke Katane Ko Zibah Kahte Hai Aur Us Janwar Ko Jiski Wo Rage Kati Gayi Zabiyah Aur Zibah Kahte Hai. Yaha Zaal Ko Zer Hai Aur Pehli Jaga Zabar Hai.
Masla 2
Baz Janwar Zibah Kiye Ja Sakte Baz Nahi. Jo Sharan Zibah Nahi Kiye Ja Sakte Hai Un Me Do Machi Aur Tedi Bagair Zibha Halaal Hai Aur Zibah Kiye Ja Sakte Hai Wo Bagair Zibhah Ka Sharai Halal Nahi. (Daur E Mukhtar) Zibah Ka Sharai Ka Yeh Matalb Hai Ke Janwar Ko Us Tarah Zibah Kia Jaye Ke Halal Ho Jaye. Yah Qurbani Rules Hain.
Masla 3
Zikah Sharia Kitne Kisam Ke Hain?
Zikah Sharia Do Qism Hai. Iktiyari Aur Iztarari, Zikah Ikhtiyari Ki Do Qisme Hai. Zibah Aur Nahr. Zikaah Iztarari Yeh Hai Ke Janwar Ke Badan Me Kisi Jagah Neza Wagera Bhunk Kar Khoon Nikal Dia Jaye
Us Se Makhsus Surato Me Janwar Halal Hota Hai, Jo Bayan Ki Jayegi. Halq Ke Akhri Hisa Me Neza Wagera Bhonk Kar Rage Kat Dene Ko Nahar Kahte Hai. Zibah Ki Jagah Halq Aur لبہ Ke Mabain Hai لبہ Shina Ke Balai Hisa Ko Kahte Hai.
Unt Ko Nahar Karna Aur Gaye Bakri Wagera Ko Zibah Karna Sunnat Hai Aur Agar Is Ka Aks Kia Yani Unt Ko Zibah Kia Aur Gaye Wagera Ko Nahar Kia To Janwar Us Surat Me Bhi Halal Ho Jayega Esa Karna Makruh Hai Ke Sunnat Ke Khilaaf Hai. Yah Qurbani Rules Hain. (Alamgiri)
Masla 4
Awam Me Yeh Mash'hur Hai Ke Un Ko Tin Jagah Zibah Kiya Jata Hai Galat Hai Aur Yun Karna Makruh Hai Ke Bila Fayda Iza Dena Hai.
Masla 5
Janwar Ke Gale Ke Rage Kitne Kate Jaate hain?
Jo Rage Zibha Me Kati Jati Hai Wo Char Hai. Halqum Yeh Wo Hai Jisme Sans Ati Jati Hai , Marwi Us Se Khana Pina Utarta Hai Aur Dono Ke Agal Bagal Aur Do Rage Hai Jin Me Khoon Ki Rawani Hai Unko Wadzain Kahte Hai. (Daur E Mukhtar)
Masla 6
Pura Halqum Zibah Ki Jaga Hai Yani Us Ke Ala, Aust , Asfal , Jis Jagah Me Zibah Kia Jaye Janwar Halal Hoga. Ajkal Chunke Chamde Ka Narakh Zayda Hai Aur Yeh Wazan Ya Naap Se Farokht Hota Hai Uske Liye Qasab Uski Koshish Karte Hai Ke Kis Tarah Chamde Ki Miqdar Bad Jaye Aur Uske Liye Yeh Tarkib Karte Hai Ke Boht Uper Se Zibah Karte Hai Aur Is Surat Me Esa Bhi Ho Sakta Hai Ke Yeh Zibah Ul Qaid Ho Jaye Aur Usme Ulma Ko Ikhtlaaf Hai Ke Janwar Halal Hoga Ya Nahi. Is Baat Me Qaul Faisal Yeh Hai Ke Zibah Fauq Ul Aqad Me Agar Tin Rage Kat Jaye To Janwar Halal Hai Warna Nahi. (Daur E Mukhtaar Rad Ul Mohtar) Ulma Ka Yeh Ikhtlaaf Aur Rago Ke Katne Me Ahtmaal Dekhte Hue Aitiyat Zaroori Hai Ke Yeh Mamla Hillat Wa Harmut Ka Hai Aur Ese Muqaam Par Aitiyat Lazim Hoti Hai. Yah Qurbani Rules Hain.
Masla 7
Zibah Ki Char Rago Me Se Tin Ka Kat Jana Kafi Hai Yani Us Surat Me Bhi Janwar Halal Ho Jayega Ke Aksar Ke Liye Wahi Hukm Hia Jo Kal Ke Liye Hai Aur Agar Charo Me Se Har Ek Ka Aksar Hisa Kat Jayega Jab Bhi Halal Ho Jayega Aur Agar Adhi Adhi Har Rag Kat Gayi Aur Adhi Baqi Hai To Halal Nahi. (Alamgiri)
Masla 8
Zibah Se Janwar Halal Hone Ke Liye Chand Shartein Hai.
1 Zibah Karne Wala Aqil Ho. Majnun Ya Itna Choota Bacha Jo Be Aqal Ho Unka Zibah Jaiz Nahi Aur Agar Chhota Bacha Zibah Ko Samjta Ho.
Aur Us Par Qudrat Rakhta Ho To Uska Zibah Halal Hai, Zibah Karne Wala Muslim Ho Ya Kitabi. Mushrik Aur Murtad Ka Zibah Haram Wa Murdar Hai.
Kitabi Agar Gair Kitabi Ho Gaya To Ab Uska Zibha Haram Aur Gair Kitabi, Kitabi Ho Gaya To Uska Zibah Halal Aur Mazallah Musalmaan Agar Kitabi Ho Gaya To Uska Zibah Haram Hai Ke Yeh Murtad Hai.
Ladka Ka Nabalig Esa Hai Ke Us Ke Walidain Me Ek Kitabi Hai Aur Ek Gair Kitabi To Uska Kitabi Qarar Dia Jayega Aur Uska Zibah Halal Samja Jayega.
Masla 9
Kitabi Ka Zibah Us Waqt Halal Samja Jayega Jab Musalmaan Ke Samne Zibah Kia Ho Aur Yeh Malum Ho Ke Allah Azzawajall Ka Nam Le Kar Zibah Kia Aur Agar Zibah Ke Waqt Usne Hazrat Masih Alaihissalam Ka Naam Liya Aur Musalmaan Ke Ilm Me Yeh Bat Hai To Janwar Haraam Hai Aur Agar Musalmaan Ke Samne Usne Zibah Nahi Kia Aur Malum Nahi Ke Kya Pad Kar Zibah Kia Jab Bhi Halal Hai.
Allah Ta’ala Ke Nam Ke Sath Zibah Qurbani Karna. Zibah Karne Ke Waqt Allah Ta'ala Ke Namo Me Se Koi Naam Lena Zikr Kare Janwar Halal Ho Jayega Yah Zaroori Nahi Ke Lafz Allah Azzawajall Hi Zuban Se Kahe.
Masla 10
Tanha Naam Hi Zikar Kare Ya Naam Ke Sath Sifat Bhi Zikr Kare Dono Surato Me Janwar Halal Ho Jata Hai Maslan Allahu Akbar, Allahu Azeem, Allahu Ajal, Allahu Rehmaan, Allahu Rahim, Ya Sirf Allah Ya Al Rehmaan Ya Al Rahim Kahe Isi Tarah Subhan Allah Ya Al Humdullilah Ya La Ila Illah Padne Se Bhi Halal Ho Jayega.
Allah Ta’ala Ka Naam Arbi Ke Siwa Dusri Zuban Me Liya Jab Bhi Halaal Ho Jayega. (Alamgri) Khud Zubah Karne Wala Allah Ta’ala Ka Naam Apni Zuban Se Kahe Agar Yeh Khud Khamosh Raha Dusro Ne Nam Liya Aur Use Yad Bhi Tha Bhula Na Tha To Janwar Haram Hai,
Nam E Illahi Azzawajall Lene Se Zibah Qurbani Par Naam Lena Maqsud Ho Aur Agar Kisi Dusre Maqsad Ke Liye Bismilah Kaha Aur Janwar Zibah Kar Dia Us Par Naam Illahi Azzawajall Zikr Karna Maqsud Na Tha Balke Chink Par Maqsud Tha Janwar Halaal Na Huwa Zibah Ke Waqt Gair E Khuda Ka Nam Na Le Jis Janwar Ko Zibah Kia Jaye Wo Waqt E Zibah Ho Agar Che Us Ki Hayat Ka Thoda Hi Hisa Baqi Rah Gaya Ho.
Zibah Qurbani Ke Bad Khoon Nikalna Ya Janwar Me Harkat Paida Hona Yu Zaroori Hai Ke Us Se Uska Zinda Hona Malum Hota Hai. Yah Qurbani Rules Hain.
Masla 11
Bakri Zibah Ki Aur Khoon Nikla Magar Usme Harkat Paida Na Hui Agar Wo Esa Khoon Hai Jise Zinda Janwar Me Hota Hai Halal Hai. Bimar Bakri Zibah Ki Sirf Us Ki Munh Ko Harkat Hui
Aur Agar Wo Harkat Yeh Hai Ke Muh Khol Dia Toh Haram Hai Aur Band Kar Liya To Halal Hai Aur Aankhe Khol De To Haram Aur Band Kar Le To Halaal Aur Pao Phaila De To Haram Aur Samet Le To Halaal Aur Bal Khade Na Ho To Haram Aur Khade Ho Gaye To Halaal Yani
Agar Sahi Taur Par Us Ke Zinda Hone Ka Ilm Na Ho To In Alamato Se Kam Liya Jaye Aur Agar Zinda Hona Yaqinan Malum Hai To In Chizo Ka Khayal Nahi Kia Jayega Behar Haal Janwar Halaal Samja Jayega. (Alamgiri)
Masla 12
Zibah Qurbani Har Us Chiz Se Kar Sakte Hai Jo Rage Kat De Aur Khoon Baha De Yeh Zaroori Nahi Ke Churi Hi Se Zibah Kare Balke Kaichi Aur Dhardar Pathhar Se Bhi Zibha Ho Skata Hai Sirf Nakhoon Aur Dant Se Zibah Nahi Kar Sakte Jab Ke Yeh Apni Jagah Par Qayam Ho Aur Agar Nakhoon Kat Kar Juda Kar Liya Ho Ya Dant Alhida H Gaya Ho To Us Se Agar Che Zibha Ho Jayega Phir Bhi Uski Mumaniyat Hai Ke Janwar Ko Us Se Aziyat Hogi. Isi Tarah Kand Chhuri Se Zibah Karna Makruh Hai.
Masla 13
Musthab Yeh Hai Ke Janwar Ko Litane Se Pehle Churi Tez Kare Aur Litane Ke Bad Chhuri Tez Karna Makruh Hai. Yuhi Janwar Ko Pao Pakd Kar Gasitate Hue Mazibah Ko Le Jana Bhi Makruh Hai. (Daur E Mukhtar) Yah Qurbani Rules Hain.
Masla 14
Is Tarah Zibah Karna Ke Chhuri Haram Magz Tak Pohch Jaye Ya Sar Kat Kar Juda Ho Jaye Makruh Hai Magar Wo Zibah Khaya Jayega Yani Karahat Us Fahal Me Hai Na Ke Zabiyah Me.
(Hidaya) Aam Logo Me Yeh Mash'hur Hai Ke Zibah Qurbani Karne Me Agar Sar Juda Ho Jaye To Us Sar Ka Khana Makruh Hai Yeh Kutub E Fiqah Me Nazar Se Nahi Guzra Balke Fuqah Ka Yeh Irshad Ke Zabiyah Khaya Jayega Us Se Yahi Sabit Hota Hai Ke Sar Bhi Khaya Jayega.
Masla 15
Har Fahal Jis Se Janwar Ko Bila Fayda Taklif Pohche Makruh Hai Maslan Janwar Me Abhi Hayat Baqi Ho Thhanda Hone Se Pehle Uski Khaal Utarana Us Ke Aza Katna Ya Zibah S Epehle Us Ke Sar Ko Khichna Ke Rage Zahir Ho Ya Gardan Ko Todna Yuhi Janwar Ko Gardan Ki Taraf Se Zibha Karna Makruh Hai Balke Uski Baz Surato Me Janwar Haram Ho Jayega.
Masla 16
Sunnat Yeh Hai Ke Zibah Qurbani Karte Waqt Janwar Ka Muh Qiblah Ko Kiya Jaye Aur Esa Na Karna Makruh Hai.
Masla 17
Agar Janwar Shikar Ho To Zaroor Hai Ke Zibah Karne Wala Halal Ho Yani Ahram Na Bande Hue Ho Aur Zibah Karna Bairun E Haram Ho Lehaja Muhrim Ka Zibah Kia Huwa Janwar Haram Hai Aur Haram Me Shikar Ko Zibah Kia To Zibah Karne Wala Mahrim Ho Ya Halaal Dono Surto Me Janwar Haram Hai Aur Agar Wo Janwar Shikar Na Ho Balke Palao Ho.
Jaise Murgi Bakri Wagera Usko Maurim Bhi Zibah Kar Sakta Hai Haram Me Bhi Zibah Kar Sakte Haii. Nasrani Ne Haram Me Jungi Janwar Ko Zibah Kia To Janwar Haram Hai Yani Muslim Zibah Qurbani Kare Ya Kitabi Dono Surto Me Haram Hai. (Durre Mukhtar Wagera) Yah Qurbani Rules Hain.
Masla 18
Jungli Janwar Age Manus Ho Jaye Maslan Hiran Wagera Paalate Hai Aur Wo Manus Ho Jate Hai Unko Usi Tarh Zibah Kia Jaye Jaise Palau Zibah Kiye Jate Hai Yani Zibah Ikhtiyari Hona Zaroor Hai Jiska Zibah Guzar Chuka Aur Agar Gherlu Janwar Wahashi Ki Tarah Ho Jaye Ke Qabu Me Na Aye To Uska Zibah Iztirari Hai Ke Jis Tarah Mumkin Ho Zibah Kar Sakte Hai.
Yuhi Agar Chopaya Kuwe Me Gir Pada Ke Us Se Baqaida Zibah Na Kar Sakte Ho To Jis Tarah Mumkin Ho Zibah Kar Sakte Hai.
Masla 19
Zibah Me Aurat Ka Wahi Hukm Hai Jo Mard Ka Hai Yani Muslim Ya Kitabiyah Aurat Ka Zibah Halaal Hai Aur Mushrika Wa Murtada Ka Zibah Haram Hai.
(Alamgiri)
Masla 20
Gunge Ka Zibah Halal Hai Agar Wo Muslim Ya Kitabi Ho Isi Tarah Aqlaf Ka Yani Jiska Khtna Na Huwa Ho Aur Abras Yani Safed Dagwale Ka Zibah Bhi Halaal Hai. (Daur Mukhtar , Alamgiri)
Masla 21
Jin Agar Insaan Ki Shakal Me Ho To Us Ka Zibah Jaiz Hai Aur Agar Insaani Shakal Me Na Ho To Us Ka Zibah Qurbani Jaiz Nahi. (Rad Ul Mohtar)
Masla 22
Majusi Ne Atish Kada Ke Liya Ya Mushrik Ne Apne Mabudaan Batil Ke Liye Musalmaan Se Janwar Zibha Karaya Aur Usne Allah Azzawajall Ka Nam Lekar Janwar Zibah Kia Yeh Janwar Haram Na Huwa Magar Musalmaan Ko Esa Karna Makruh Hai.
Masla 23
Musalmaan Ne Janwar Zibah Kar Dia Us Ke Bad Mushrik Ne Us Par Churi Pheri To Janwar Haram Na Huwa Ke Zibah To Pehle Ho Chuka Aur Agar Mushrik Ne Zibah Kar Dala Us Ke Bad Muslim Ne Chhuri Pheri To Haram Hi Hai Uske Chhuri Pherne Se Halal Na Hoga.
Masla 24
Zibah Karne Me Qasadan Bismillah Na Kahi Janwar Haram Hai Aur Agar Bhul Kar Esa Huwa Jaisa Ke Baz Martaba Shikar Ke Zibah Me Jaldi Hoti Hai Aur Jaldi Bismillah Kahna Bhul Jata Hai Us Surat Me Janwar Halaal Hai. (Hidaya)
Masla 25
Zibah Karte Waqt Bismillah Ke Sath Gair E Khuda Ka Naam Bhi Liya Uski Do Surtein Hai Agar Bagair Ataf Zikr Kia Hai Maslan Yun Kaha
ھمتقبلمن
ٰ
بسمااللهمحمدرسولااللهیابسمااللهالل
فالن
Esa Karna Makruh Hai. Magar Janwar Haram Nahi Hoga. Aur Agar Ataf Ke Sath Dusre Ka Naam Zikr Kia Maslan Yun Kaha فالن واسم االله بسم Is Surat Me Janwar Haram Hai Ke Yeh Janwar Gair E Khuda Ke Naam Par Zibah Huwa. Tisri Surat Yeh Hai Ke Zibah Se Pehle Amslan Janwar Ko Litane Se Pehle Usne Kisi Ka Nam Liya Ya Zibah Karne Ke Bad Nam Liya To Is Surat Me Haraj Nahi Jis Tarah Qurbani (Rules) Aur Aqeeqa Me Dua Padi Jati Hai Aur Baqi Me Awan Logo Ke Naam Liye Jate Hai Jin Ki Tarf Se Qurbani (Rules) Hai Aur Huzur Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi WasallamAur Hazrat Syedna Ibrahim Alaihissalam Ke Naam Bhi Liye Jate Hai.
.ادھلاۃی''،اتکب اذلاب حئ،ج ۲،ص ۳۴۸،وریغاہ''
Yaha Se Malum Huwa Ke ہِّ
Hai Haram Joَ مااُِّھ لَ لَِّغ ِّْۡیاللِّہ ب
Us Ka Matlab Yeh Hai Ke Zibah Ke Waqt Jab Gair E Khuda Ka Nam Is Tarah Liya Jayega Us Waqt Haram Hoga Aur Wahabiyah Yeh Kahte Hai Ke Aage Piche Jab Kabhi Gair E Khuda Ka Nam Liya Jaye Haram Ho Jata Hai Balke Yeh Log To Mutlaqan Har Chiz Ko Haram Kahte Hai Jis Par Gair E Khuda Ka Nam Liya Un Sab Ko Haram Qarar Dena Shariat Par Iftara Aur Muslim Ko Zabardasti Haram Ka Murtakab Banana Hai Malum Huwa Ke Baz Musalmaan Gaye, Bakra, Marg Jo Isliye Palte Hai Ke Unko Zibah Kar Ke Khana Pakwa Kar Kisi Waliullah Ki Ruh Ko Esal E Sawab Kia Jayega Yeh Jaiz Hai Aur Janwar Bhi Halal Hai
َمااُِّھ لَ لَِّغ ِّْۡیاللِّہ Isko
Me Dakhil Karna Jahalat Hai Kyon Ke
Musalmaan Ke Mutliq Yeh Khayal Karna Ke Us Ne
ُب اِّ ٰٰل ِّغ ِّْۡیاالله Ki
قرََت Niyat Ki Hatdharmi Aur Sakht Bad Gumani Hai Muslim Hargiz Esa Khayal Nahi Rakhta. Aqeeqa Aur Walima Wagera Ki Taqriro Me Jis Tarah Janwar Zibah Karte Hai Aur Baz Martaba Pehle Hi Se Mutaeen Kar Liye Hai Ke Fulah Mauqa Par Fulah Kam Ke Liye Zibah Kiya Jayega Jis Tarah Yeh Haram Nahi Hai Wo Bhi Haram Nahi.
Masla 26
Bismilah (ہ (Ki Ko Zahir Karna Chiaye Agar Zahir Na Ki Jaisa Ke Baz Awam Iska Talfuz Is Tarah Karte Hai Ke (ہ (Zahir Nahi Hoti Aur Maqsud Allah Ka Nam Zikr Karna Hai To Janwar Halaal Hai Aur Agar Yeh Maqsud Na Ho Aur (ہ (Ka Chordna Hi Maqsud Ho To Halaal Nahi.
Masla 27
Musthab Yeh Hai Ke Zibah E Waqt بَکَ ْاللهاُ
ِّ ْس ِّم االلها
ب
ُاللهاَ ْکَب Kahe
ِّ ْس ِّمااللهو
ب Waw Ke Sath Kaha To Janwar Us Surat Me Bhi Halaal Hoga Magar Baz Ulma Is Tarah
Kahne Ko Makruh Batate Hai.
.ادلرااتحملر''،اتکب اذلاب حئ،ج۹،ص ۵۰۳،وریغہ''
Masla 28
Bismillah Kisi Dusre Maqsd Se Padi Aur Janwar Ko Zibah Kar Dia To Janwar Halaal Nahi Aur Agar Zuban Se Bismillah Kahi Aur Dil Me Yeh Niyat Hazir Nahi Ke Janwar Zibah Karne Ke Liye Bismillah Kahta Ho To Janwar Halal Hai.
Masla 29
Zibah Ikhtiyaar Me Shart Yeh Hai Ke Zibah Karne Wala Zibah Ke Waqt Bismillah Pade Yaha Mazbuh Par Bismillah Padi Jati Hai Yani Jis Janwar Ko Zibah Karne Ke Liye Bismillah Padi Usi Ko Zibah Kar Sakte Hai Dusra Janwar Us Tasmiyah Se Halaal Na Hoga
Maslan Bakri Zibah Karne Ke Liye Litai Aur Uske Zibah Ko Bismillah Padi Magar Usko Zibah Nahi Kia Balke Uski Jagah Dusri Bakri Zibah Kar Di Yeh Halal Nahi Hui Yeh Zaroor Nahi Ke Jis Chhuri Se Zibah Karna Chahta Tha Aur Bismillah Pad Li To Usi Se Zibah Kare Balke Dusri Chhuri Se Bhi Zibah Kar Sakta Hai Qurbani Rules.
Aur Shikar Karne Me Ala Par Bismillah Padi Jati Hai Usi Ala Se Shikar Karna Hoga Dusre Se Karega Halal Na Hoga Maslan Tir Chhordna Chahta Hai Aur Bismillah Padi Magar Usko Rakh Dia Dusra Tir Chalaya To Janwar Halaal Nahi
Aur Agar Jis Janwar Ko Tir Se Marna Chahta Hai Usko Tir Nahi Laga Dusra Janwar Us Tir Se Mara To Yeh Halaal Hai.
.ادھلاۃی''،اتکب اذلاب حئ،ج ۲،ص ۳۴۷''
Malsa 30
Khud Zibah Karne Wale Ko Bismillah Kahna Zaroor Hai Dusre Ka Kahna Kafi Uske Kahne Ke Qayam Muqam Nahi Yani Dusre Ke Bismillah Padne Se Janwar Halal Na Hoga Jabke Zibah Ne Qasadan Tark Kia Ho
Aur Do Shakhso Ne Zibah Kia To Dono Ka Padna Zaroori Hai Ek Ne Qasdan Tark Kia To Janwar Haram Hai. (Rad Ul Mohtar) Maeen Zibah Se Yahi Murad Hai Ke Zibah Karne Me Us Ka Maeen Ho
Yani Dono Ne Mil Kar Zibah Kia Ho Dono Ne Chhuri Pheri Ho Maslan Zabah Kamzor Hai Ke Us Ke Tanha Quwat Kam Nahi Degi Dusre Ne Bhi Shirkat Ki Dono Ne Mil Kar Chhuri Chalai.
Agar Dusra Shakhs Janwar Ko Faqt Pakde Hue Hai To Yeh Maeen Zibah Nahi Uske Padne Na Padne Ko Kuch Dakhal Nahi. Yeh Agar Padta Hai To Uska Maqsud Yeh Ho Sakta Hai Ke Zibah Ko Bismillah Yad Aa Jaye Aur Pad Le Qurbani Rules.
Masla 31
Bismillah Kahne Aur Zibah Karne Ke Darmiyan Fasla Na Na Ho Aur Majlis Badalne Na Paye Agar Majlis Badal Gayi Aur Ama Kashir Bich Me Paya Gaya To Janwar Halaal Na Huwa. Ek Luqma Khaya Ya Zara Sa Pani Piya Ya Chhuri Tez Karli Yeh Amal Qalil Hai Janwar Is Surat Me Halaal Hai. Yah Qurbani Rules Hain.
.ادلرااتخملر''و''ردااتحملر''،اتکب اذلاب حئ،ج۹،ص۵۰۴''
Masla 32
Do Bakriyon Ko Niche Uper Lita Kar Dono Ko Ek Sath Bismilah Pad Kar Zibah Kar Dia Dono Halaal Hai Aur Ek Ko Zibah Karke Fauran Dusri Ko Zibah Karna Chahta Hai To Us Ko Phir Bismillah Padni Hogi Pehle Jo Pad Chuka Hai Wo Dusri Ke Liye Kafi Nahi.
Masla 33
Bakri Zibah Ke Liye Litayi Thi Bismillah Kah Kar Zibah Karna Chahta Tha Ke Wo Uthh Kar Baag Zibah Ka Bayaan 29 Gayi Phir Us Se Pakad Ke Laya Aur Litaya To Ab Phir Bismillah Pade Pehle Ka Padna Khatam Ho Gaya.
Yuhi Bakriyah Ka Gala Dekha Aur Bismillah Pad Kar Un Me Se Ek Bakri Pakad Laya Aur Zibah Kar Di Us Waqt Qasadan Bismillah Tark Kar Di Yeh Khayal Karke Ke Pehle Pad Chuka Hai Bakri Haram Ho Gayi.
Masla 34
Palao Janwar Agar Bhag Jaye Aur Pakdane Me Na Aye To Uske Liye Zibah Iztirari Hai Yani Teer Ya Niza Wagera Se Ba Nisbat Zibah Bismillah Pad Kar Mare Aur Uske Liye Gardan Me Hi Zibah Karna Zaroori Nahi Balke Jis Jagah Bhi Zakhmi Kar Dia Jaye Kafi Hai.
Yuhi Agar Janwar Kuwe Me Gir Gaya Us Ko Neza Wagera Se Ba Niyat Zibah Bismillah Kah Kar Haalak Kar Diye Zibah Ho Gaya. Isi Tarah Agar Janwar Us Par Hamlawar Ho Jaisa Ke Bhense Sand Aksar Hamla Kar Dete Hai Unko Bhi Isi Tarah Zibah Kia Ja Sakta Hai Agar Mehaj Apne Se Difah Karne Ke Liye Use Neza Mara Zibah Karna Maqsud Na Tha To Janwar Haram Hai. Yah Qurbani Rules Hain.
Masla 35
Abadi Me Agar Bakri Bhag Gayi To Uske Liye Zibah Iztirab Nahi Hai Ke Bakri Ja Sakti Hai Aur Zibah Ka Bayaan 30 Maidan Me Bhag Gayi To Zibah Iztirari Ho Sakta Hai Aur Gaye, Bail , Unt Bhag Jaye To Abadi Aur Jungle Dono Ka Unke Liye Yaksa Hukm Hai Ho Sakta Hai Ke Abadi Me Bhi Un Ke Pakdane Par Qudrat Na Ho.
Masla 36
Murgi Urdh Kar Darkhat Par Chali Gayi Agar Waha Tak Nahi Pohch Sakta Hai Aur Bismilah Pad Kar Use Teer Mar Kar Halaak Kia Agar Us Ke Jate Rahne Ka Andhesha Na Tha To Na Khai Jaye Aur Aur Nadesha Tha To Kha Sakte Hai Ke Us Surat Me Zibah Iztirari Ho Sakta Hai.
Kabutar Agar Wo Makaan Par Wapas Aa Sakta Hai Aur Use Teer Mara Agar Teer Jaye Zibah Par Laga Khaya Ja Sakta Hai Warna Nahi Wo Wapas Nahi Aa Sakta To Behar Haal Surat Khaya Ja Sakta Hai.
Masla 37
Hiran Ko Paal Liya Wo Itefaq Se Jungle Me Chala Gaya Kisi Ne Bismillah Kah Kar Use Teer Mara Agar Teer Zibah Ki Jagah Par Laga Hai Halaal Hai Warna Nahi Han Agar Wahshi Ho Gaya Aur Ab Zibah Ka Bayaan 31 Bagair Shikar Kiye Hath Na Ayega Jaha Bhi Lage Halaal Hai.
Masla 38
Gaye Ya Bakri Zibah Ki Aur Uske Pet Me Bacha Nikla Wo Zinda Hai Zibah Kar Diya Jaye Halaal Ho Jayega Aur Mara Huwa Hai To Haram Hai Uski Ma Ka Zibah Karna Us Ke Halaal Hone Ke Liye Kafi Nahi.
Masla 39
Bili Ne Murgi Ka Sar Kat Liya Aur Wo Abi Zinda Hai Phadak Rahi Hai Zibah Nahi Ki Ja Sakti
(Alamgiri)
Masla 40
Janwar Ko Din Me Zibah Karna Behtar Hai Aur Musthab Yeh Hai Ke Zibah Se Pehle Chhuri Tez Karle Kundi Chhuri Ya Esi Chizo Se Zibah Karne Se Bache Jis Se Janwar Ko Iza Ho. Yah Qurbani Rules Hain.