Kya Jibril Ahle Sallam Ko Ahle Bait Ka Khadim Kah Sakte Hain? Isse Farishto Ko Tauhin Hoti Hain. Niche Pade Daleel Ke Sath
Haz. Jibril Ko Ahle Bait Ka Khadim Khana Kaise ?
ahle_bait |
Kya Jibril Ahle Sallam Ko Ahle Bait Ka Khadim Kah Sakte Hain? Isse Farishto Ko Tauhin Hoti Hain. Niche Pade Daleel Ke Sath
Sawal :-
Kya Farmate Haiñ Ulmaa-E-Kiraam Wa Muftiyaan E Izaam Is Masle Ke Bare Meiñ Ki Hazrat Jibreel Alaihis Salaam Ko Ahle Bait Ka Khadim Kahna Kaisa Hai Aur Daleel Ye Dena Ki "INKE GHAR BE IJAZAT JIBREEL AATE NAHI" Kaisa Hai? Neez Kya Farishtoñ Ki Tauheen Karna Kufr Hai Ya Nahi?
Jawab :-
Hazrat Jibril Alaihis Salam Rasool E Malaika Hai Inhe Ahle Bait E Athar Radi Allahu Ta,ala Anhum Ka Khadim Kehna Inki Tauheen Hai Jo Ke Khalis Kufr Hai Lihaaza Aisa Kehne Wala Tauba, Tajdeed E Imaan Kare Aur Agar Shadi Shuda Hai To Dubara Nikah Kare Aur Ye Daleel Dena Ki
"Inke Ghar Be-ljazat Jibraeel Aate Nahi"
Isse Hargiz Sabit Nahi Hota Ke Wo Ahle Bait E Athar Radi Allahu Ta'ala Anhum Ke Khadim Haiñ, Ho Sakta Hai Ke Allah Azzawajal Ne Inhe ljazat Lene Ka Hukm Diya Ho.
Aur Ye Zaroori Nahi Hai Ke ljazat Lene Wala Khadim Hi Ho. Ye Bhi Ho Sakta hai Ke ljazat Lene Wala Sahib E Khana Se Bahut Afzal Ho.
Yahan Tak Ke Khud Huzoor E Akram Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ka Sahaba Ke Ghar Tashreef Lejane Par ljazat Lena Sabit Hai Aur Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Logo Ko ljazat Lene Ki Talim Bhi Farmayi,
Lihaza Afzal Agar Mafzool Ke Ghar Me Aane Ki ljazat Le, To Hargiz Ye Nahi Sabit Hota Ke Aane Wala Khadim Hi Hai.
"TAMHID" LI ABI SHAKUR SAALIMI ME HAI
ahle_bait |
Tarjuma :- Jisne Kisi Farishte Ko Gaali Di Ya Unse Bugz Rakha To Wo Kafır Hogaya Jaisa Ke Ambiya Ke Baare Me Hai Or Jisne Ambiya Or Farishton Ka Zikr Hiqarat Ke Saath Kiya To Wo Bhi Kafir Hogaya.
(AI Tamhid LI Abi Shakur Salimi, Page 122)
FATAWA AALAMGIRI ME HAI
ahle_bait |
Tarjuma :- Agar Kisi Ne Kaha Ki Maiñ Fulaañ Ki Gawaahi Nahi Sunoonga, Agar Che Wo Jibril Or Mikaeel Hoñ To Wo Kafir Hogaya.
Neez Aage Farmate Hain
ahle_bait |
Tarjuma :- Kisi Ne Farishton Me Se Kisi Farishte Par Aib Lagaya To Wo Kafir Hogaya.
Neez Aage Farmate Hain
ahle_bait |
Tarjuma :- Abu Zar Ne Kaha Farishtoñ Ki Tauheen Karna Kufr Hai.
(Fatawa Aalamgiri Kitab Al Sair Bab Taasi FI Ahkamil Mirtaddeen, Safa No. 266)
Alaa Hazrat Imam-E-Ahle Sunnat Sayyaduna Imam Ahmad Raza Quddasas Sirrahul Aziz Farmate Hain
Hazrat Malakul Maut Alaihis Salatu Wassalam Ki Nisbat Bandar Katne Ka Lafz Malak E MuqarrabE Rasool Allah Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Sallam Ke Tauheen Hai, Kufr E Mubeen Hai.
(Fatwah Razawiya Jild 15 Page 260)
ahle_bait |
Dusre Maqam Par Aala Hazrat Radi Allahu Ta'ala Anhu se Is Waqiye Se Mutalliq Sawal Hua Ki Hazrat (Gaus e Azam Radi Allahu Ta'ala Anhu) Ke Ek Mureed Ka Inteqal Hogaya,
Motaa Ka Ladka Hazrat Ki Khidmat Me Haazir Huwa Or Hazrat Se Arz Kiya Ke Mere Walid Ka Inteqal Hogaya, Ispar Ladka Zyada Roya Pita Or Ad Gaya To Aap Ko Raham Aaya Aapne Wada Farmaya Or Ladke Ki Taskeen Ki,
Baadahu Hazrat Izraeel Alaihis Aslam Ko Muraqib Hokar Roka Jab Hazrat Izraeel Alaihis Salaam Ruke Aapne Daryaft Kiya Ke Humare Mureed Ki Rooh Tumne Qabz Ki Hai?
Jawab Diya Ki Haan, Aapne Farmaya Rooh Humare Murid Ki Chhod Do, Izraeel Alaihis Salam Ne Kaha Ki Mene Bahukm E Rabbul Alameen Rooh Qabz Ki Hai Bagair Uske Huqm Nahi Chhod Sakta.
Ispar Jhagda Huwa Aapne Thappad Mara Hazrat Ke Thappad Se Izraeel Alaihis Salsam Ki Ek Ankh Nikal Padi Or Aapne Unse Zanbeel Cheen Kar Us Roz Ji Tamam Roohe Jo Ke Qabz Ki Thi Chhod Di.
Ispar Hazrat Izraeel Alaihis Salaam Ne Rabbul Alameen Se Arz Kiya, Wahan Se Huqm Hua Hamare Mehboob Ne Ek Rooh Chodhne Ko kaha Tumne Kyuñ Nahi Chhodi Humko Inki Khatir Manzoor Hai Agar Unhone Tamam Roohe Chhod Di To Kuch Muzaiqa Nahi.
Sharan Is Riwayat Ka Bayan Karna Majlis E Maulood Me Ya Wa'az Wagairah Me Durust Hai Ya Nahi?
Iske Jawab Meiñ Aap Farmate Haiñ
(Ye) Riwayat Iblees Ki Ghadi Huwi Hai Or Iska Padhna Or Sunna Dono Haram, Ahmaq Jahil Be Adab Ne Ye Jaana Ki Wo Isme Huzoor Sayyaduna Gaus E Azam Radi Allahu Anhu Ki Tazeem Karta Hai Halañki Wo Huzoor Ki Sakht Tauheen Kar Raha Hai.
Kisi Aalim Musalman Ki Isse Zyada Tauheen Kya Hogi Me Ma'azAllah Use Kufr Ki Taraf Nisbat Kiya Jaye Na Ki Mehboobane llaahi,
Sayyaduna Izraeel Alaihis Salam Mursaleen E Malaika Meiñ Se Haiñ Or Mursileen E Malaika Bil ljmaa Tamam Gair Ambiya Se Afzal Haiñ Kisi Rasool Ke Saath Aisi Harkat Karna Tauheen E Rasool Ke Sabab Ma'azAllah Uske Liye Bais E Kufr Hai Allah Ta'ala Jihalat 0 Zalalat Se Panah De.
(Fatawa Razawlya Shareef Jld 12, Page 199)
Teesre Maqam Par Rasool E Malaika Ke Maqam 0 Martaba Or Unki Tauheen Ke Silsile Me Farmate Haiñ.
Unke Uloow E Shaan O Rif'at Makaan (Shokat 0 Azmat Or Aali Martabat) Ko Bhi Koi Wali Nahi Pahonchta (Khwaah Kitna Hi Muqarrab Bargah E Ahdiyyat Ho) Or Unki Janab Me Gustakhi Ka Bi A'ynihee Wahi Huqm (Jo Ambiya Mursileen Ki Rifat Panah Bargahoñ Me Gustakhi Ka Hai Ke Kufr E Qatai Hai.
(Fatawa Razawiya Shareef Jild 29, Page 353)
Or 4th Maqam Par Hazrat Jibreel Alaihis Salam Ke Khadim Hone Se Muta'alliq Farmate Haiñ.
Farishton Me Sab Se Ooñcha Unka Martaba 0 Maqam Or Qurbe Qubool Par Fayizul Muraam,
Wo Sahib E Izzat O Ehteram Ke Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Siwa Dusre Ke Khadim Nahi."Or Tamam Makhlooqat Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke llawa Koi Or Unka Makhdoom 0 Muta'a Nahi.
(Fatawa Razawlya Shareef Jild 29, Page 254)
HAZRAT SADRUSHSHARIAH ALAIHIRREHMA FARMATE HAIN Kisi Farishte Ke Saath Adna Gustakhi Kufr Hai.
(Bahare Shariat Jild 1 Safa No 92)
AUR FAQIH E ASR SHAREH BUKHARI ALAIHIRREHMA FARMATE HAIN
Jibraeel E Ameen Rasool e Malaika Meiñ Se Haiñ To Ye Kehna Ke Hazrat Siddiq E Akbar Jibril E Ameen Se Afzal Haiñ Kufr Huwa Isliye Ke Zaruriyat E Deen Ka Inkar Kufr Hai.
(Fatawa Shareh Bukhari, Jild 1, Page 661)
Lihaza In Tamam Dalail Se Ye Baat Roz E Roshan Ki Tarah Ayaa(n) Hai Ke Kisi Farishte Ki Shaan Me Adna Gustakhi Kufr Hai Lehaza Jis Ne Ahle Bait Athaar RadiAllahu Anhum Ko Hazrate Jibraeel Alaihis Salam Se Afzal Bataya,
Aur Hazrate Jibril Alaihis Salam Ko Ahle Bait Ka Khadim Kaha Wo Apne Is Qaul (Baat) Se Rujoo Kare Aur Tauba 0 Tajdeede Imaan Kare Aur Agar Shadi Shuda Hai To Dobara Nikah Kare.